Sunday, 25 November 2012

Sad Shayari Collection 28


  


Pholo se bhi kya dosti karni, 
Kuch pal ke baad murjha jate hai, 
Pyar karo to kato se karo, 
Chubne ke baad bhi yaad aate hai ! 
Sad Hindi Shayari 
Thodagum mila to ghabra ke pi gaye, 
Thodi khushi mili to mil ke pi gaye, 
Yu to bachpan na thi peene ki aadat, 
Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pi gaye ! 


Mohabbat me kisi ne dil aisa toda, 
Ki labo me uska naam tak nahi aata, 
Dil to hum kahi aur bhi laga lete, 
Magar tuta hua dil kisi ke kaam nahi aata, ! 


Aasma wale teri duniya se ji ghabra gaya, 
Char din ki chandni me gum ka andhera cha gaya ! 


Me teri tasvir bana lu, 
Me apni takdir banal u, 
Dil ke kore kagaj per, 
Ulfat ki lakir banal u ! 


Kash! Khushiyo ki koi dukan hoti, 
Hame bhi uski koi pehchan hoti, 
Bhar dete aapke daman me khushiya, 
Kimat uski chahe hamari jaan hoti ! 



Badal kitne khusnaseeb hai, 
Dur rehkar bhi zameen par baraste hai, 
Hum kitne badnaseeb hai, 
Pass rehkar bhi milne ko taraste hai ! 



Apni kaho, kuch meri suno, 
Kya dil ka lagana bhul gaye! 
Rone ki aadat aisi padi, 
Hasne ka jamana bhul gaye ! 


Nanhe se dil me arman koi rakhna, 
Duniya ki bheed me pehchan koi rakhna, 
Acche nahi lagte, jab rehte ho udas, 
Apne hotho pe sada muskan vahi rakhna ! 

No comments:

Post a Comment