Dil dhadakta hai to aawaz nahi aati,
Har kisi ko mohabbat raas nahi aati,
Yeh to apne-apne naseeb ki baat hai,
Koi bhulta nahi, kisi ko yaad nahi aati..!
Do kadam to sab chal lete hai,
Par zindagi bhar ka sath koi nahi nibhata,
Agar ro kar bhulai jati yaade,
To has kar koi gum nahi chuppata…!
Bahut kuch sikha jati hai zindagi,
Has kar rula jati hai zindagi,
Jee sako utna jee lo kyuki,
Bahut kuch baki rehta hai aur
Khatam ho jati hai zindagi…
Humse door hota gaya har mukaam yaaro,
Aansu mein beh gayi meri har shaam yaaro,
Mita di zindagi jiske liye,
Usi ne keh diya bhula do mujhko yaaro….!!
Us dilruba ne zakham diya bade shok se,
Phir ilaaj ko bulaya ghar be rok tok ke,
Usne mere zakham ka kuch yu kiya ilaj,
Marham bhi lagaya to kaanto ki nok se……!!!
Zindagi aap ke bina viraan lagti hai,
Aap ho to har muskil aasaan lagti hai,
Sath ho aap mere to sab kuch hai,
Bin aap ke har rah sunsaan lagti hai….!!
Hindi Sad Shayari
Badal gayi rah par hum khoye nhi
dard bahut tha dil mai par hum roye nhi
koi nhi hamara jo puche humse jaag rahe ho
kisi ke liye ya kisi ke liye soye nahi.
No comments:
Post a Comment