Sunday, 25 November 2012

Sad Shayari Collection 28


  


Pholo se bhi kya dosti karni, 
Kuch pal ke baad murjha jate hai, 
Pyar karo to kato se karo, 
Chubne ke baad bhi yaad aate hai ! 
Sad Hindi Shayari 
Thodagum mila to ghabra ke pi gaye, 
Thodi khushi mili to mil ke pi gaye, 
Yu to bachpan na thi peene ki aadat, 
Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pi gaye ! 


Mohabbat me kisi ne dil aisa toda, 
Ki labo me uska naam tak nahi aata, 
Dil to hum kahi aur bhi laga lete, 
Magar tuta hua dil kisi ke kaam nahi aata, ! 


Aasma wale teri duniya se ji ghabra gaya, 
Char din ki chandni me gum ka andhera cha gaya ! 


Me teri tasvir bana lu, 
Me apni takdir banal u, 
Dil ke kore kagaj per, 
Ulfat ki lakir banal u ! 


Kash! Khushiyo ki koi dukan hoti, 
Hame bhi uski koi pehchan hoti, 
Bhar dete aapke daman me khushiya, 
Kimat uski chahe hamari jaan hoti ! 



Badal kitne khusnaseeb hai, 
Dur rehkar bhi zameen par baraste hai, 
Hum kitne badnaseeb hai, 
Pass rehkar bhi milne ko taraste hai ! 



Apni kaho, kuch meri suno, 
Kya dil ka lagana bhul gaye! 
Rone ki aadat aisi padi, 
Hasne ka jamana bhul gaye ! 


Nanhe se dil me arman koi rakhna, 
Duniya ki bheed me pehchan koi rakhna, 
Acche nahi lagte, jab rehte ho udas, 
Apne hotho pe sada muskan vahi rakhna ! 

Sad Shayari Collection 27




Badalo ke darmiyan kuch aisi sajish hui, 
Mera ghar miti ka tha, mere hi ghar barish hui ! 


Ishq ke bhi kuch andaz hote hai, 
Jagti aankho me bhi khwab hote hai, 
Jaruri nahi ki gum me hi aanshu nikle, 
Muskurati aankho me bhi selab hote hai ! 


Pyar ne dosto ke liye, hame bhula diya , 
Kya hua jo kisi aur ke liye hame bhula diya , 
Hum to vese bhi akele the, kya hua jo unhone ehsaas dila diya ! 
Sad Hindi Shayari 
Kese likhoge mohabbat ki kitab, 
Tum to karne lage pal – pal ka hisab, 
Khusk patto ka mausam lekar, 
Aag ke sahar me rehte ho janab ! 


Jo dard tumhare hai, apne bhi wahi gum hai, 
Lag jao aakar gale,jo tum ho wahi hum hai ! 



Nayan tumhare tino loko se nyare lagte hai, 
Khyal kar dete hai, phir bhi pyare lagte hai ! 
Jinke liye me mar gaya, unka ye haal hai, 
Pathar chura kar le gaye meri majar se ! 


Udasi tabiyat par cha jayegi, 
Tumhe jab meri yaad aayegi, 
Mere baad dhudo ge meri wafa, 
Meri wafa to mere sath jayegi ! 

Tum sath na do mera, chalna mujhe aata hai, 
Har aag se wakif hu, jalna mujhe aata hai ! 


Chaho to dil se hame mita dena, 
Chaho to hum ko bhula dena, 
Lekin ye wada karo ki aaye jab bhi yaad hamari, 
Rona mat sirf ‘Muskura ‘ dena ! 


Mehfil me is khayal se phir aa gaya hu, 
Shayad mujhe nikal ke, pachta rahe ho aap ! 

Sad Shayari Collection 26



Nafrat ki duniya hai, gaflat ka saya, 
Kaun apna kaun paraya, 
Gum ki wadiyo me bhula diya tha tumhi ne, 
Jane kyu aaj teri yaado ka mausam aaya 


Har nazare ko ek nigah ka hak hai, 
Har noor ko ek aah ka huk hai, 
Humbhi dil lekar aye hai is duniya me, 
Hame bhi ek gunah ka huk hai ! 


Mout ke baad yaad aa raha hai koi, 
Mitti kabra se utha raha hai koi, 
Ye khuda do pal ki zindagi aur de de, 
Meri kabr se udas ja raha hai koi! 



Dil gumsum, juba khamosh, 
Ye aankhe nam kyu hai, 
Jab tumhe kabhi paya hi nahi tha, 
To aaj khone ka gum kyu tha ! 


Gum kabhi khatm nahi hota, 
Ye batane se kabhi kam nahi hota, 
Ye to humsafar hai un tanha dilo ka, 
Jinke sath unka humdam nahi hota ! 

Sad Shayari Collection 25




Aanshu ki kimat wo kya jane, 
Jo har baat par pe ansu bahate hai, 
Aansu ki kimat unse pucho, 
Jo gum me bhi haste-muskurate hai ! 

Tamana se nahi tanhai se darte hai, 
Pyar se nahi rusvai se darte hai, 
Milne ki to bahut chahat hai, 
Par milne ke baad judai se darte hai ! 


Bhul se koi bhul hui to, 
Bhul samajh kar bhul jana! 
Are bhulna sirf bhul ko, 
Bhul se hame nahi bhul jana ! 


Umid hai ki aap hame kabhi to maaf karoge, 
Pure din me na sahi is waqt to yaad karoge…! 



Kisi ne kaha tha kisi se na kehna, 
Lage chot dil pe to khamosh hi rehna, 
Jaha chot khana waha muskurana 
Magar muskurana is ada se ki 
Ro de sara zamana..!! 


Nazar andaz kese kar aap ko, 
Nazaro me basaya hai aap ko, 
Yaad aane par roye bhi to kese, 
Darte hai jhuki jo palke to chubhegi aapko 

Sad Shayari Collection 24




Jisne hamko chaha use hum chaha na sake, 
Jisko humne chaha use hum paa na sake, 
Ye samajlo dil tutne ka khel tha, 
Kisi ka toda nahi aur apna bacha nahi sake….!!!! 



Chand ka kya kasoor agar raat bewafa nikali, 
Kuch pal thari fir chal nikli, 
Unse kya kahe wo to sache the, 
Shyad hamari takdir hi humse khafa nikli…! 


Tamana hai ki baharo ki khushi mile aap ko, 
Jo dil chahta hai vahi pyar mile aapko, 
Aksar log pyar pa kar kho dete hai, 
Lekin kabhi na khone wala pyar mile aap ko…!!! 



Kashish dil ki har chiz bhula deti, 
Band aankho me bhi sapne saza deti hai, 
Sapno ki duniya jarur rakhna mere dost, 
Kyu ki haqikat aksar logo ko rula deti hai! 


Muskura do jara khuda ke vaste, 
Shama-ye-mehfilme roshani kam hai, 
Tum hamare nahi to kya gum hai, 
Hum tumhare hai , ye kya kam hai ! 


Aansu ko aankho ki dehlij par laya na karo, 
Apne dil ki halat kisi ko bataya mat karo, 
Log muthi bhar namak liye ghumte hai, 
Apne zakham kisi ko dikhaya mat karo ! 

Sad Shayari Collection 23




Khamoshi me suno wo Awaz Hamari Hogi, 
Jindgi Bhar Sath Rahe wo Dosti Hamari Hogi, 
Duniya ki Har Khushi 1din apki Hogi, 
Kyonki iske liye Duaa Hamari Hogi... 


Tamanna to dil ki hasrat hai, 
Puri ho jaye to hum khush kismat hai, 
Na puri ho to gam kya karna, 
Adhuri rehna to tamannao ki fitrat hai.. 


Asar ho raha h MOHABAAT ka aaj fir, 
Aaj fir hm NAGME gun-gunane lage h, 
Phle hm darte the MOHABAAT k khel se, 
Aaj fir bazi lagane lage hai. 
Sad Shayaris in Hindi 
Kisi ki yaado ne pagal bana rakha hai, 
Kahi mar na jau kafan sila rakha hai, 
Jalane se pehle dil nikal lena, 
Kahi won a jal jaye jise dil me basa rakha hai…!!! 


Yu to zindagi me ajib mod aayege, 
Kabhi khushi to kabhi gum layenge, 
Rakhana khyal hamesha khud ka, 
Kyu ki aap haseenge to hi ham muskurayege…!!!!! 



Mila hai sab kuch to fariyaad kya kar, 
Dil hai pareshan to jasbaat kya kare, 
Aap kehte hai aap ko yaad nahi karte, 
Bhula nahi sakte jisko use yaad kya kare…!! 



Teri judai bhi hame pyar karti hai, 
Teri yaad bahut bekrar karti hai, 
Wo din jot ere sath gujare the, 
Talash unko nazare har baar karti hai….!! 


Mohabbat karne walo ko deewana keh diya, 
Sama par jalne walo ko parwana keh diya, 
Mohabbat ko dafna ke patthar ke niche, 
Aur logo ne use TAJMAHAL keh diya…!!! 



Pyar karna assan hai, 
Par use nibhana muskil hai, 
Pya to har koi karta hai, 
Par muskil to sacha pyar paana hai…!! 

Sad Shayari Collection 22



Aa jaye kisi roz tu aisa b ni lagta, 
lekin wo tera waada jutha b ni lagta.. 
Dekha hai tujhe jabse bechain bahut hai dil, 
kehne ko koi tujhse rishta bhi nahi lagta.. 
Baare me tere hum soche bhi to kya sochein, 
tu gair nahi hai lekin apna bhi nahi lagta 


Milke bichadna dastoor hai zindagi ka, 
Ek hi kissa mashur hai zindagi ka, 
Bite hue pal wapas nahi aate, 
Yahi sabse bada kasoor hai zindagi ka…! 


Thukra K Usne Muje Kaha K Haso 
Mene Hans Dya Akhir $awal Unki Khusi KaTha 
Mene Khoya Jo Mera Kabi Tha HiNhi 
Par Usne Khoya Wo Jo $irf usika Tha. 


Ishq ne hame b benaam kar diya, 
Har khushi ko hamari haraam kar diya, 
Hamne kbi nai chaha Ki Ishq hame b ho, 
Par kisi ki eK nazar ne hame tamaam kar diya. 


Dil Bus Dard Ka Nagma He, 
Ab Tek Mera Nasib Kyu Spna He 
Tumko Agar Lagta He Ke Apno Me Khush Hu Me 
Teri Judai Ka Ghum To Mout Se Bi Dugna He 



Lamho me jo kat jaae wo kya jindagi, 
aansuo me jo beh jaae wo kya jindagi, 
jindagi ka to falsafa hi kuchh or he, 
har kisi ko samajh me aae wo kya jindagi.